Pukhtoon Students Federation

Pukhtoon Students Federation
A student organization that is leftist, secular, liberal, progressive and nationalist in nature. It is the student wing of Awami National Party. It was formed in 1968. It is present in numerous educational institutions of Pakistan. Bashir Sherpao from Charsadda, Peshawar is the President of PSF.

University Of Malakand

University Of Malakand
A public university located in Chakdara, Dir Valley of Kyber Pukhtoonkhwa i-e- Malakand Division. It was founded in 2001 by the then President Pervez Musharraf. It provides regular & private Bachelors degrees (BA/BSc/BBA/BIT/BCom/BCS), regular Honours degrees (BA Hons/BS Hons/BBA Hons/BBT Hons/PharmD/BCS Hons/BIT Hons), Master degrees (MA/MSc/MCS/MBA/BEd/LLB/MCom/MIT) & post-graduate degrees such as MPhil, MS & PhD in various disciplines & MEd. It has 14 departments. Dr Rasool Jan from Kabal, Swat is it's Vice-Chancellor & Governer NWFP Owais Ghani is it's Chancellor. Zeeshan Khan Sawabiwal is the President of Pukhtoon Students Federation there. It has 3 hostels i-e- Girls Hostel, Asif Aziz Hostel & Khalid Osman Hostel.

Da PSF UOM Noticeboard

Saturday, April 17, 2010

Poetry dedicated to Adnan Shaheed from a sister







KHUDA HUMARA HAI
Khuda tumhara nahi hai, khuda hamara hai

Usse zamin pe ye zulum kub gawara hai

Laho pyo ge kahan tuk aye Jamiat walo

Allah ke naam pe kub tub munafeqat khwaro

tu jiss Allah ka naam le ke war karta hai

Wo tho insan se maa se badh ke pyar karta hai

Ke wo Rahim hai, ...wadud hai kareem bhi hai

wo baadshah hai magar phir bhi wo haleem hi hai

Rehman keh ke nabi ne jise pukara hai

usse zamin pe ye zulum kub gawara hai

tu ne aik bewa maa se uska jigar cheena hai

ke tu pathar hai dil se hali tera seena hai

tuje na deen ki habar hai, na aqebat ki fiqar

ke tu taqat ke nashe mei badha budmust hai, magar

mera Rub kehta hai ke shirk hai maasum ka qatal,

hai mere Rub ka manafi tera qabih amal

ke tu budbakht hai, qatel hai aur zalim hai,

beshuk "Shaheed" hai Adnan ke Rub ko pyara hai

khuda tumhara nahi hai khuda hamara hai

usse zamin pe tera zulum kub gwara hai



 



DUA

Dua hai aab koi mazlum dharti pe janam na le

Ilahi maujza kar zulum iss dunya se mit jaye

Dua hai aab kisi maa ki na eise goad phir ujre

Na phir aik begunah jawan yun shaheed kehlai

Dua hai har suhagan khush rahe bewa na kehlai

bhari bahar mei gulshan me kise ke tufan na phir aye

Dua h...ai aab kisi ka bhai, bhai se juda na ho

kisi ke dil ko aisa ghao aisa zakham na aiye

Duain mangti iss behan ki bus aik tamana hai

Hisab-e-zulum ho insaaf karne khud Allah aye!

 
Ameen!
 

1 comment: