A Punjabi President of PSF clears misconceptions about PSF
(Interview is in Urdu)
Q. Aap ke walid ka kia naam hy aur kia karty hain?
A. Ji walid ka naam Muhammd Iqbal hy aur construction ka kam karty hain
Q. Aap ka taluq kahan se hy aur kahan kehty hain?
A. Mera taluq Bhagban Pura Lahore se hy aur ab East Karachi Iqbal Town mein rehta hun
Q. PSF kab join ki?
A. 2007 April me apne college me join ki
Q. PSF ka shoq kaise peda hua?
A. College mein membership campaign thi, tu mene bhi membership hasil kar li, dar asal PSF wahid talba tanzim hy jo adam tashadud pe yakeen rakti hy jo Baacha Khan baba ka falsafa hy, bus membership se taraqi hoti gaye aur akhir mein General Secretary aur phir Sadar ban gaya. Aik bar mujy MQM (Muthahida Qaumi Movement) walo ne bohot mara, tu mere PSF ke dosto ne muje un ghundo se bachaya aur aisa larray aur support kia jis tara apne Pathan dosto ka suppoort karty thy, uss din se me PSF ka ho kar reh gaya. PSF ne mujy bohot kuch dia.
Q. PSF me ohday?
A. Mera taluq PSF District East Karachi se hy, aur wahan Goverment College District East Karachi mein pehle karkun tha, pir evening ka general secretary aur phir sadar muntakhib hogaya.
Q. PSF ne apko kia dia?
A. PSF ne mujy bohot kuch dia, dost diye, izzat di aur Baacha Khan baba ka falsafa dia.
Q. PSF me sub se yadgar lamha?
A. Jis din Police ne college se arrest kia.
Favourite personality?
Ismael Meshud, Ex-President PSF Sindh, Sabiq Subaye Sadar Sindh jis k PSF me 18 saal hogaye.
Favourite poetry?
wo mard nhi jo dar jae halat k khuni manzar se
jis door me jeena mushkil ho us door me jeena lazim he
Message for students:
Join PSF! Save ur future!

No comments:
Post a Comment